YEH HAI MAIKADA--MUHAMMAD SAMMIE --LYRICS

YEH HAI MAIKADA

Singer & Composer: Muhammad Samie

Poets: Jigar Muradabadi (Late) | Josh Malihabadi (Late) | Mir Anees (Late) | Qamar Jalalvi (Late) | Hafeez Banarasi (Late)

CLICK HERE TO WATCH AND LISTEN


Ye hai maikada yahan rind hain, yahan sab ka saqi imam hai Ye hai maikada yahan rind hain, yahan sab ka saqi imam hai Ye hai maikada yahan rind hain, yahan sab ka saqi imam hai Ye haram nahi hai ay shaikh jee, Ye haram nahi hai ay shaikh jee, yahan paarsaai haram hai Ye Hai Maikada Ye Hai Maikada Ye Hai Maikada Ye Hai Maikada Jo zara si pee ke behek gaya, usay maikaday se nikaal do Jo zara si pee ke behek gaya, usay maikaday se nikaal do Yahan kam-nazar ka guzar nahi, Yahan kam-nazar ka guzar nahi, yahan ehl-e-zarf ka kaam hai Ye Hai Maikada Ye Hai Maikada Ye Hai Maikada Ye Hai Maikada Ye janab-e-shaiḳh ka falsafa, jo samajh mein meri na aa saka Ye janab-e-shaiḳh ka falsafa, jo samajh mein meri na aa saka Jo wahan piyo to halal hai, Jo wahan piyo to halal hai, jo yahan piyo to haram hai Jo wahan piyo to halal hai, jo yahan piyo to haram hai Ye Hai Maikada Ye Hai Maikada Koi baadaa-kash koi tishna-lab to kisi ke haath mein jaam hai Ab is mein koi kahe ga kya, ye to maikaday ka nizam hai Ye hai maikada Ye hai maikada Ye hai maikada Ye hai maikada [Group Vocals] Kuch soch ke shama’a pe parwana jala hoga Shayad isi jalne mein jeene ka maza hoga Jis waqt ye mai tu ne botal mein bhari hogi Saqi tera masti se kya haal hua hoga Maikhane se masjid tak paaye gaye naqsh-e-paa Ya rind gaye hon ge ya shaikh gaya hoga Sab se buland hai mere saqi tera muqam Leta nahi baghair wuzu tera koi naam Insaan to kya farishtay bhi kartay hain ehtaraam Hain maah-o-aftaab tere maikaday ke jaam Qaim Muqam hai tu Risaalat Ma’ab (S.A.W.W.) ka Qindeel-e-arsh hai tera sheesha sharaab ka Saqi datti hui hai kharaabation ki saf Phela hua hai abr-e-gauharbar har taraf Botal ka kaak khol, utha kaif baar-e-duf La bada-e-Madina-o-paimana-e-Najaf Tat’heer ki rida hai falak par tani hui De daman-e-Rasool-e-Khuda (S.A.W.W.) mein chani hui Khurshhed-e-mudda’a mera burj-e-sharaf mein hai Ik saqi Karbala mein mera ik Najaf mein hai Le woh Najaf ki simt se aanay lagi sada Saqi mera salam-e-adab le keh mein chala Maula-e-Kainaat (A.S.) aur awaz de mujhe Ay Jibrail (A.S.) quwwat-e-parvaaz de mujhe

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Rukh Pe Rehamt Ka Jhoomer - Ustad Nusrat Fateh Ali Khan - Lyrics