NAMIDANAM BY MUHAMMAD SAMIE
NAMI DANAM | Muhammad Samie ===================================== Singer & Composer: Muhammad Samie Lyrics’ Selection & Arrangement: Muhammad Samie Poets: Bu Ali Shah Qalandar | Allama Iqbal | Meer Taqi Meer| Mirza Ghalib | Bedam Shah Warsi | Baba Zaheen Shah | Qamar Jalalvi | Qateel Shifai | Seemab Akbarabadi | Muhammad Samie

CLICK HERE FOR WATCH.



Manam mehv-e-jamal-e-oo nami danam kuja raftam Shudam ghark-e-wisaal-e-oo Nami danam kuja raftam


I AM LOST IN THE THOUGHTS OF MY BELOVED, I DON'T KNOW WHERE I AM GOING

I FIND MY SELF DROWNED IN THE MOMENT OF MEETING MY BELOVED, I DON'T KNOW WHERE I AM GOING

Nami Danam Nami Danam [Chorus]

I DON'T KNOW WHERE I AM GOING; 2 TIME

Na tha kuch to Khuda tha kuch na hota to Khuda hota Duboya mujh ko hone ne na main hota to kya hota Nami Danam Nami Danam [Chorus] Uthi jis simt bhi nazren tujhi ko jalwa-gar dekha Tu hi har ik nazaray mein tujhi ko chaar su dekha Kisay Ka’aba banaen kis ko sang-e-aastan kar len Kashakash mein hain deewane tera sajda kahan kar len Nami Danam Nami Danam [Chorus] Kaheen unvaan badla hai, kaheen tarz-e-bayaan badla Azal se ta abad afsana-e-hasti kahan badla Badalne ko hazaaron karvaten badleen zamane ne Magar meri jabeen badlee na tera astaan badla Ye faizan-e-nazar tha ya keh maktab ki karamat thi Sikhaaye kis ne Ismail (A.S.) ko adaab-e-farzandi Tere azaad bandon ki na yeh duniya na woh duniya Yahaan marne ki pabandi wahan jeene ki pabandi Khuda ay kaash ham ko ḳhaak hi rakhta keh phir hum bhi Ghubar-e-raah hote ya kisi ki ḳhaak-e-pa hote Sarapa aarzu hone ne banda kar diya ham ko Vagarna hum Khuda thay gar dil-e-be-mudda’a hote Nami Danam Nami Danam [Chorus] Kahaan insaan kahaan aql-o-ḳhirad ki bediyan taoba zara bhi aql ho to aadmi divana ho jae Sahar tak sab ka hai anjam jal kar raakh ho jana Bane mehfil mein koi sham’a ya parvana ho jae Nami Danam Nami Danam [Chorus] Ye aalam dekh kar tu ne bhi ankhen pher leen varna Koi gardish nahin thi gardish-e-ayyam se pehle Yahi dastoor-e-duniya hai yahi rasm-e-mohabbat hai Keh sab apne hi hote hain kathin ayyam se pehle Nami Danam Nami Danam [Chorus] Ye kis ne shaaḳh-e-gul la kar qareeb-e-ashiyan rakh di Keh main ne shauq-e-gul-bosi main kanton par zaban rakh di Karen ge shikwa-e-zulm-o-sitam dil khol kar apna Keh woh maidan-e-mehshar hai na ghar un ka na ghar apna Nami Danam Nami Danam [Chorus] Fazeelat hai Ye Aaqa (S.A.W.W.) ki wahan un ki rasaai hai Farishtay kya fariston ke jahan saaye nahi jaate Muhammad (S.A.W.W.) raaz-e-wahdat hain koi ramz un ki kya jaane Shariyat mein to banda hain haqeeqat main Khuda jaane Nami Danam Nami Danam [Chorus] Ghulam-e-roo-e-oo boodam aseer-e-boo-e-oo boodam Gubaar-e-koo-e-oo boodam nami danam kuja raftam


I AM THE SLAVE OF THAT ( MY BELOVED) FACE, I AM THE PRISONER OF THAT ( MY BELOVED) FRAGRANCE

I AM THE SWIRLING THE DUST OF MY BELOVED'S STREET, I DON'T KNOW WHERE I AM GOING.


Comments

Popular posts from this blog

YEH HAI MAIKADA--MUHAMMAD SAMMIE --LYRICS

Rukh Pe Rehamt Ka Jhoomer - Ustad Nusrat Fateh Ali Khan - Lyrics